Wednesday, 19 December 2012

ZINA(RAPE) KI SAZAA


↓ ↓ MAS'ALA: ↓ ↓
'Zina' (adultery) karne wale ko 100 kodey maare jaye, riwayat mehy k Hz.Ali ne use jala dia,Hz.abubakar ne unpar diwar gira di
<Anwarul hadis p-297>
»»»►Nabi karim Sallahu Alaihi WaSallam Farmaya:

"Dusro Ki Aurton Se Door Raho, Tumhari Aurtein Bhi Paak DaamanRahegi"
>Mustadrak,Hadi s No.7258
»»
Jab koi Mard Aur Aurat Zina karta he to Emaan unke sine se nikal karsar par saye ki tarah thahar jata he (Mukasheftul kuloob safa: 168)

»»»►Hazrat Ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu anu se pucha
Emaan kis tarah nikal jata he? Hazrat Abdullah ibne Abbas ne farmaya is tarah ! Aur apne hath ki ungliyadusre hath ki ungliyo me dali PHir nikal li aur farmaya
"Dekho is tarah" (Bukhari sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713)
»
Hazrat Abuhuraira wa Ibne AbbasRadiallahu anu se Rivayat he Sakar-E-do aalam Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya "Momin hote hue to koi Zina kar hi nahi sakta" (Bukhari Sharif,Jild:3,S afa:614,Hadees: 1714)
»
Zina ki Saza Aur Azaab: Hazrat Musa Alayhissalam ne Rab ta'ala ki bargahme jub Zina ki sazapuchi to Allah ne farmaya: Use Aag ki Jarrah pahnaunga (Lohe ka libas jo aag se bana hoga) Woh Aisi wazani he ki Agar bahut Bade pahad parrakh di jaye to wobhi reza reza ho jaye (Mukasheftul Kuloob Safa: 168)
»
Allah Ta'ala faramat he
Jo shaks Zina karta he use"Asaam"me dala jayega (Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68)
»
Asaam ke bare me Ulma-E-Deen ne kaha he ki woJahannam ka 1 Gar he jab uska Muh khola jayega to uski Badbu se tamam jahannami chikh uthenge (Mukasheftul Kuloob Safa: 167)

7 Aasman aur 7 zamino aur PahadZinakar par lanat bhejte he aur Qayamat ke din Zinakar Mard wa Aurat ki Sharmgah se is kadar badbu aati hogike Jannam me jalane wale ko bhi is badbu se taklif hogi (Bahare Shariat Safa:43)
**
Zina ka Azaab:
Zina: Ek mard Ek aisi Aurat se ya Ek aurat ek aise mard se Sohbat/Humbistari kare jiska uske sath

Nikah hi na hua ho!!!!
Zina karne wale mard ko zani kaha jata hai aur aurat ko Zaniya kaha jata hai.
Aaqa Alayhissalam ne farmaya: Jab koi Mard Aur Aurat Zina karta he to Emaan unke sine se nikal kar sar par saye ki tarah thahar jata he. [Mukasheftul kuloob safa: 168]
.
Zina karne wale shadi shuda ho tokhule Maidanme Pattharo se maardala jaye aur Gair shadi shuda (Kuwara) ho to 100 kode mare jaye. [Bukhari Sharif Jild Safa:615/615, Hadees:1715]

Aurat masail pardah

»»»► “BAD-NIGAAHI SE BACHO”◄«««
GAIR MARD-GAIR AURAT SE PARDA KARO!

Jab Ek Gair Mard Aur Gair Aurat Ek Dusre Ko Dekhte Hain To Dono Ki Aankhen ZINA karti Hain! (KASHFUL-MAHJOO B: 568)
 
Jo Aurat Apne Aapko Na’mahram Mard Ki Nazar Se Bachayegi Dozakh Ki Aag Usko Na Jalayegi (Tanbiyatul Ghafileen)

HUZUR Alaihissalam farmate Hain:- Mardo ki Tarah Shakl-O-Surat Ikhtiyar Karne Wali Aurte Jannat Me Nahi Jayegi (NISAI) Ek Baal Aurat ka Agar kisi Namahram ko Nazar Aajaye To 1000 farishte 1 Baal ke BadleUs Aurat par Lanat karte Hain Jo Aurat Khushbu Laga kar Gairo Ke Paas se Guzri Take Log uski Khushbu Mehsus kare To Aisi Aurat Badkarah Zaniya Hain! (Masnad Imam Ahmad) Jo Aurat Gair Mard Par Apni Zinat Zaahir Karne ke Liye Daman Ghasite Hue Chalegi Qayamat ke Din wo noor se Mehrum&Andhere me hogi (TIRMIZI Jild: 2, Safa: 1175)

Huzoor Sallallaho Alayhi Wasallam Farmate Hain:-Aye Logo, Apni Aurto Ko Singarwala Libas Pahenkar Gair Mahramo Ke Samne Nikalne Se Mana Karo. (IBNE MAJA)

Rab Ta'ala Irshad Farmata Hain:-
Aur musalman aurato ko hukm do apni nigahe kuch nichi rakhe aur Parsai ki hifazat kare aur apna banao na dikhaye magar jitna khd hi jahir he. Aur dupatte apne girebano par dale rahe aur apna singar jahir na kare magar apne shauharo par! (Kanzul Iman, Para 18, Surah Noor,Aayat 31)
 
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:- Aurat, Aurat hain yani chupaneki chiz hain. Jab wo nikalti he to use shaitan zak kar dekhta hain. Yani use dekhna shaitani kaam hain. (Tirmizi sharif,Jild 1,Bab796,Hadees 1173,Safa 600)
 
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:-Jis gair aurat ko jan buz kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan buz kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la'anat. (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 
 
77) Hazrat Maimuna Bin Sa'ad radiallahu anha se riwayat heke Sarkar e Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Apne shauhar ke siwa dusro ke liye Jinat ke sath daman ghasite hue (itrakar) chalnewali Aurat Qayamat ke Andhero ki tarah hain. Jisme koi roshni na ho (Tirmizi sharif Jild 1, Bab 791, Hadees 1166, Safa 597) 
 
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Jab gair mard aur gair aurat tanhai me kisi jagah sath hote he to unme tisra shaitan hota hain (Tirmizi sharif Jild 1, Bab 794,Hadees 1171, Safa 599) Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Tanha gair aurat ke pas jane se parhez karo. Ek sahabi ne sawal kiya Ya Rasoolallah dewar ke bare me kya irshad he? Aaqa ne farmaya Dewar to Maut hain. (Bukhari sharif Jild 3, Bab 141, Hadees 216, Safa 108,Tirmizi sharif Jild 1, Bab 794, Hadees 1171 Safa 599, Mishkat sharif Jild 2, Hadees 2968,Safa 73) 
 
HUZOOR Alaihissalam farmate hain DUNIYA OR AURAT SE BACHO KYUKI BANI ISRAIL ME SABSE PEHLA, FITNA AURAT KI WAJAHSE UTHA THA (SAHI MUSLIM Page: 1465 Hadees:2742).
.
Rab Ta'ala Irshad Farmata Hain:-Aur musalman aurato ko hukm do apni nigahe kuch nichi rakhe aur Parsai ki hifazat kare aur apna banao na dikhaye magar jitna khd hi jahir he. Aur dupatte apne girebano par dale rahe aur apna singar jahir na kare magar apne shauharo par! (QURAN Para 18, Surah Noor,Aayat 31)
.
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:-Aurat, Aurat hain yani chupane kichiz hain. Jab wo nikalti he to use shaitan zak kar dekhta hain. Yani use dekhna shaitani kaam hain.(Tirmizi sharif,Jild 1,Bab 796,Hadees 1173,Safa 600)
.
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:- Jis gair aurat ko jan buz kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan buz kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la'anat.(Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)
.
Hazrat Maimuna Bin Sa'ad radiallahu anha se riwayat heke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Apne shauhar ke siwa dusro ke liye Jinat ke sath daman ghasite hue (itrakar) chalnewali Aurat Qayamat ke Andhero ki tarah hain. Jisme koi roshni na ho (Tirmizi sharif Jild 1, Bab 791,Hadees 1166, Safa 597)
.
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Jab gair mard aur gair aurat tanhai me kisi jagah sath hote he to unme tisra shaitan hota hain (Tirmizi sharif Jild 1, Bab 794, Hadees 1171, Safa 599)
.
Sarkare Madina Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Tanha gair aurat ke pas jane se parhez karo. Ek sahabi ne sawal kiya Ya Rasoolallah dewar ke bare me kya irshad he? Aaqa ne farmaya Dewar to Maut hain. (Bukhari sharif Jild 3, Bab 141, Hadees 216, Safa 108,Tirmizi sharif Jild 1, Bab 794, Hadees 1171 Safa 599, Mishkat sharif Jild 2, Hadees 2968,Safa 73)

HUZOOR Alaihissalam farmate hain DUNIYA OR AURAT SE BACHO KYUKI BANI ISRAIL ME SABSE PEHLA, FITNA AURAT KI WAJAHSE UTHA THA (SAHI MUSLIM Page: 1465 Hadees:2742)
 
Hazrat Abu Musa Asha'ari Radiallahu anhu se riwayat he ki Huzoor Akdas Sallalaho Alayhi Wasallam ne farmaya:Jab koi Aurat Khushboo laga kar logo me nikalti he to woh Aurat Jaaniya(Balatkar karnewali Peshawar) He. (Abu Dawood Jild 3 Safa 264)
 
Jannat Ki Aurto’n Aur Hooro’n Ki Khubi Ye Hai Ke ….

♥ “Agar Tum Allah Se Darnay Wali Ho Tou Baat Me ‘Naram’ Andaaz Na Ikhtiyar Karo Ke Dil Ki Kharabi Mein Mubtala Koi Shakhs Laalach Mein Pad Jaye” ♥
-: (Sura-E-Ahzab :A-32)

♥ “Jannat Ki Aurto’n Aur Hooro’n Ki Khaas Khubi Ye Hai Ke Woh Nigaahe’n Neechy Rakhne Wali Hain” ♥
-: (Sura-E-Rehman)

♥ “Aur Apni Zeib O Zeenat Zahir Na Karei’n Sivaye Us Ke Jo Azkhud Zahir Hojaye” ♥
-: (Sura-E-Noor :A-31)

Tuesday, 18 December 2012

SHAB-E-BARA'AT

Shab-e-Baraat (Urdu/HindiTarjuma) Bakshish ki raat (Shab-e-Baraat),
Dua ki raat (Shab-e-Dua), Dua ki Qabooliyat ki raat (Shab-e-Qabooliat) aur Barkat ki raat
(Shab-e-Barakah) bhi kehlati hai. Shab-e-Baraat par Haidth.......
1. Urdu/Hindi Translation : Muadh bin Jabal Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺne farmaya :
"Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban- 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata
hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo Mushrik hai aur jo Dusro se keena (Bughz)
rakhta hai." (Sahih) [Imam Ibn Hajr Haythmi, Majma Az Zawaid, Hadith No. 12860]
[Ibn Hibban, Sahih Ibn Hibban, Vol. 12, Page 481, Hadith No. 5665.] [Tabrani, Al Muajamul Kabir, Vol. 20, Page 108-109] [Al Bayhaqi, Shubul Iman, Vol. 2, Page 288]
*[Nasiruddin Al-Albani, Silsilah Al- Ahadith Al-Sahihah, Vol. 3, Page 135, Hadith No. 1144]*
 
2. Urdu/Hindi Translation: Abdullah bin Amr Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺ ne
farmaya: "Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu nasfs
hai." (Sahih) [Musnad Ahmed bin Hambal, Vol. 2, Page 176, Hadith No. 6642]
[Al-Albani, Silsilah Al-Ahadith Al- Sahihah, Vol. 3, Page 13 (Hasan)]
 
3. Urdu/Hindi Translation: Abu Bakr Siddiq Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺ ne
farmaya: "Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu nasfs
hai." (Hasan)[Hafiz ibn Hajar, al-Amaalil mutlaqah, Page 119-120] [Haafiz al-Munzhiri, al-Targheeb,
Vol. 3, Page 459] [Imam Ibn Khuzaymah, Kitab At- Tawheed wa Ithbat Sifat ar-Rabb,
Section : Nuzool]
 
4. Urdu/Hindi Translation : Sayyidah Aisha Radiallahu anhu ne farmaya Ek raat maine Rasoolullah
ﷺ ko nahi paya. To Main (Unhe dhundne) bahar gayi. Wo Baqi' (ke Qabrastan) mein the (aur
Apna Sar-e-Anwar Aasman ki taraf uthaye huye the - Ibn Majah) aur Aap ﷺ ne farmaya "Kya (Ai Aisha!) Aapka ye khayal tha ki Allah aur Uska Rasool Aapki Haq-talfi karega?" Maine kaha, "Ya Rasoolullah ﷺ! Mujhe guman guzra ki Aap Apni kisi aur Zauja-e-Mutahara ke paas tashreef na le
gaye ho. Aap ﷺ ne farmaya, "Beshaq, Allah (SWT) Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko Aasman-
e-Duniya ki taraf ek khas shaan ke sath nazil hota hai aur Banu Kaib ki bhed ke baal se bhi zyada logo ki Bakshish farmata hai." [Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu anhu ne bhi iss Hadith ko riwayat kiya] (Daif) [Tirmidhi, Book 8, Book on Fasting, Chapter No. 39, Concerning fifteenth of Sha’ban, Hadith No. 739] [Ibn Maja, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of
The Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1389] [Musnad Ahmed bin Hambal, Hadith No. 26077]
[Bayhaqi, Shu`ab al-iman, Vol. 3, Hadith No. 3835]
 
5. Urdu/Hindi Translation : Abu Thalaba Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaya : "Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko, Allah apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye uske jo Bughz aur Dusro se keena rakhta hai." [Bayhqi, Tafsir ad-Dar al-Manthur Under the Verse 44 : 3]
 
6. Urdu/Hindi Translation: Hazrat Uthmaan bin Abil Aas Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasoolullah ﷺne farmaya : "Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko Allah Aasman-e-Duniya ki taraf ek khas shaan ke sath nazil hota hai. Phir Ailaan karta hai: 'Hai koi jo Mujhse Istaghfar karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi kuch talab karne wala, ki Mai usko ataa kar du? Allah iss tarah sabhi ki muradein poori farmata hai siwaye badkari karne walo ke aur Mushriko ke." [Al-Baihaqi, Durre Manthur, Vol. 6, Page 27]
 
7. Urdu/Hindi Translation: Sayyidah Aisha Radiallahu anhu riwayat karti hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaya : ".... Mere paas Jibreel (A.S) aye aur kaha: "Ye Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat hai. Allah iss raat mein Bani Kalb ki bakriyon ke baal ke barabar logo ki maghfirat farma deta hai. Halaki, Allah iss raat siwaye kaafir ke, apne dil mein adaawat rakhne wale, apne karibi rishtedaron se talluk todne wale ke, apne takhno se niche patloon pehanne wale ke, waalidai'n ki na-farmani karne wale ke aur sharabi ke Apni nazre rahmat nahi farmaata. ..." (Daif) [Imam Zakiuddin Abdul-Azim Al-Mundhiri, Targhib-wat-Tarhib, Vol 3, Page 460]
 
8. Urdu/Hindi Translation : Hazrat Ali bin Abu Talib Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasooullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya, 'Jab Nisf-Shaban ki raat aaye, to uski raat ko Ibadat mein guzara karo aur uske din ko Roza rakha karo. Allah gurub-e-aaftab se hi Aasman-e-Duniya par iss raat ko nazil hota hai aur farmata hai : 'Hai koi jo Mujhse Istaghfar karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi Mujhse rizk talab karne wala, ki Main usko rizk ataa kar du? Hai koi pareshani mein mubtala shaks, ki Main use aafiyat ataa kar du? aur Issi tarah se Ailan farmata rehta hai, hatta ki Subah tulu ho jati hai." (Maudu) [Ibn Majah, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of The Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1388] [Imam Jalalluddin Suyuti, Durre Manthur, Page 26]
..................................................................................................
The Scholars opinion about 15th
Shaban:- (English Translation)
1. The general virtue of this night has been accepted by many great Ulama of the past. From among many great scholars which have agreed to the virtue of this night are: Umar ibn Abdul-Aziz, Imaam al-Shaafi’ee, Imaam al-Awzaa’ie, Attaa ibn Yassaar, Imaam al-Majd ibn Taymiyah, ibn Rajab al- Hambaliy and Hafiz Zaynu-ddeen al-Iraaqiy (Rahmatullaahi alayhim) [Hafiz ibn Rajab, Lataiful Ma’aarif, Page 263-264][Hãfiz Zayud-deen Iraqi, FaydhulQadeer, Vol. 2 Page 317]
 
2. Imam Ibn Taymiyya : “ As for the middle night of Sha’baan, there are various narrations that have been narrated regarding its significance and it has been reported from a group of the Salaf (predecessors) that they performed Salaat in it individually, hence, such a deed cannot be disputed.’ [Imam Ibn Taymiyya, Majmoo’ al- Fataawa, Vol. 23, Page 132]