Tuesday 18 December 2012

SHAB-E-BARA'AT

Shab-e-Baraat (Urdu/HindiTarjuma) Bakshish ki raat (Shab-e-Baraat),
Dua ki raat (Shab-e-Dua), Dua ki Qabooliyat ki raat (Shab-e-Qabooliat) aur Barkat ki raat
(Shab-e-Barakah) bhi kehlati hai. Shab-e-Baraat par Haidth.......
1. Urdu/Hindi Translation : Muadh bin Jabal Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺne farmaya :
"Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban- 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata
hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo Mushrik hai aur jo Dusro se keena (Bughz)
rakhta hai." (Sahih) [Imam Ibn Hajr Haythmi, Majma Az Zawaid, Hadith No. 12860]
[Ibn Hibban, Sahih Ibn Hibban, Vol. 12, Page 481, Hadith No. 5665.] [Tabrani, Al Muajamul Kabir, Vol. 20, Page 108-109] [Al Bayhaqi, Shubul Iman, Vol. 2, Page 288]
*[Nasiruddin Al-Albani, Silsilah Al- Ahadith Al-Sahihah, Vol. 3, Page 135, Hadith No. 1144]*
 
2. Urdu/Hindi Translation: Abdullah bin Amr Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺ ne
farmaya: "Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu nasfs
hai." (Sahih) [Musnad Ahmed bin Hambal, Vol. 2, Page 176, Hadith No. 6642]
[Al-Albani, Silsilah Al-Ahadith Al- Sahihah, Vol. 3, Page 13 (Hasan)]
 
3. Urdu/Hindi Translation: Abu Bakr Siddiq Radiallahu anhu riwayat karte hain, Nabi ﷺ ne
farmaya: "Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu nasfs
hai." (Hasan)[Hafiz ibn Hajar, al-Amaalil mutlaqah, Page 119-120] [Haafiz al-Munzhiri, al-Targheeb,
Vol. 3, Page 459] [Imam Ibn Khuzaymah, Kitab At- Tawheed wa Ithbat Sifat ar-Rabb,
Section : Nuzool]
 
4. Urdu/Hindi Translation : Sayyidah Aisha Radiallahu anhu ne farmaya Ek raat maine Rasoolullah
ﷺ ko nahi paya. To Main (Unhe dhundne) bahar gayi. Wo Baqi' (ke Qabrastan) mein the (aur
Apna Sar-e-Anwar Aasman ki taraf uthaye huye the - Ibn Majah) aur Aap ﷺ ne farmaya "Kya (Ai Aisha!) Aapka ye khayal tha ki Allah aur Uska Rasool Aapki Haq-talfi karega?" Maine kaha, "Ya Rasoolullah ﷺ! Mujhe guman guzra ki Aap Apni kisi aur Zauja-e-Mutahara ke paas tashreef na le
gaye ho. Aap ﷺ ne farmaya, "Beshaq, Allah (SWT) Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko Aasman-
e-Duniya ki taraf ek khas shaan ke sath nazil hota hai aur Banu Kaib ki bhed ke baal se bhi zyada logo ki Bakshish farmata hai." [Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu anhu ne bhi iss Hadith ko riwayat kiya] (Daif) [Tirmidhi, Book 8, Book on Fasting, Chapter No. 39, Concerning fifteenth of Sha’ban, Hadith No. 739] [Ibn Maja, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of
The Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1389] [Musnad Ahmed bin Hambal, Hadith No. 26077]
[Bayhaqi, Shu`ab al-iman, Vol. 3, Hadith No. 3835]
 
5. Urdu/Hindi Translation : Abu Thalaba Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaya : "Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko, Allah apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye uske jo Bughz aur Dusro se keena rakhta hai." [Bayhqi, Tafsir ad-Dar al-Manthur Under the Verse 44 : 3]
 
6. Urdu/Hindi Translation: Hazrat Uthmaan bin Abil Aas Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasoolullah ﷺne farmaya : "Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko Allah Aasman-e-Duniya ki taraf ek khas shaan ke sath nazil hota hai. Phir Ailaan karta hai: 'Hai koi jo Mujhse Istaghfar karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi kuch talab karne wala, ki Mai usko ataa kar du? Allah iss tarah sabhi ki muradein poori farmata hai siwaye badkari karne walo ke aur Mushriko ke." [Al-Baihaqi, Durre Manthur, Vol. 6, Page 27]
 
7. Urdu/Hindi Translation: Sayyidah Aisha Radiallahu anhu riwayat karti hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaya : ".... Mere paas Jibreel (A.S) aye aur kaha: "Ye Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat hai. Allah iss raat mein Bani Kalb ki bakriyon ke baal ke barabar logo ki maghfirat farma deta hai. Halaki, Allah iss raat siwaye kaafir ke, apne dil mein adaawat rakhne wale, apne karibi rishtedaron se talluk todne wale ke, apne takhno se niche patloon pehanne wale ke, waalidai'n ki na-farmani karne wale ke aur sharabi ke Apni nazre rahmat nahi farmaata. ..." (Daif) [Imam Zakiuddin Abdul-Azim Al-Mundhiri, Targhib-wat-Tarhib, Vol 3, Page 460]
 
8. Urdu/Hindi Translation : Hazrat Ali bin Abu Talib Radiallahu anhu riwayat karte hain, Rasooullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya, 'Jab Nisf-Shaban ki raat aaye, to uski raat ko Ibadat mein guzara karo aur uske din ko Roza rakha karo. Allah gurub-e-aaftab se hi Aasman-e-Duniya par iss raat ko nazil hota hai aur farmata hai : 'Hai koi jo Mujhse Istaghfar karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi Mujhse rizk talab karne wala, ki Main usko rizk ataa kar du? Hai koi pareshani mein mubtala shaks, ki Main use aafiyat ataa kar du? aur Issi tarah se Ailan farmata rehta hai, hatta ki Subah tulu ho jati hai." (Maudu) [Ibn Majah, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of The Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1388] [Imam Jalalluddin Suyuti, Durre Manthur, Page 26]
..................................................................................................
The Scholars opinion about 15th
Shaban:- (English Translation)
1. The general virtue of this night has been accepted by many great Ulama of the past. From among many great scholars which have agreed to the virtue of this night are: Umar ibn Abdul-Aziz, Imaam al-Shaafi’ee, Imaam al-Awzaa’ie, Attaa ibn Yassaar, Imaam al-Majd ibn Taymiyah, ibn Rajab al- Hambaliy and Hafiz Zaynu-ddeen al-Iraaqiy (Rahmatullaahi alayhim) [Hafiz ibn Rajab, Lataiful Ma’aarif, Page 263-264][Hãfiz Zayud-deen Iraqi, FaydhulQadeer, Vol. 2 Page 317]
 
2. Imam Ibn Taymiyya : “ As for the middle night of Sha’baan, there are various narrations that have been narrated regarding its significance and it has been reported from a group of the Salaf (predecessors) that they performed Salaat in it individually, hence, such a deed cannot be disputed.’ [Imam Ibn Taymiyya, Majmoo’ al- Fataawa, Vol. 23, Page 132]

No comments:

Post a Comment