Monday 8 June 2015

HAZRAT IBRAHIM A.S.

Ibrahim a.s. ka zikar Quran mein 26 martaba
aaya hai. Aap Iraq k aik qasbay "Urr" k rehnay
walay thay. Baap ka naam "Aazar", jo
but'taraash tha. Poori qom but parast thi.
Ibrahim a.s. nay jub buton say bezari zahir ki aur
baap ko haq ki dawat di to us nay kaha "Agar tu
in buton ko bura kehnay say baaz na aaya to
mein tujhe sangsaar kar dun ga". Ibrahim a.s.
nay apnay RUB ka taaruf yun karwaya:-
Jis nay mujay peda kia aur mujay seedhi raah
dikhata hay. Jo mujay khilata hay aur pilata hay.
Jab mein bemaar hota hun to mujay shifa deta
hay. Jo mujay maut day ga aur dobara zinda
karay ga. (shuaara). Qom butparasti say baaz na
aai..Ibrahim a.s.nay aik din kaha "Aur Allah ki
qasam mein tumharay buton k sath aik khufya
chaal chalun ga, jab tum mojood nae ho gay" (Al-
Ambiya)
Kuch arsay baad qom ka aik mazhabi mela huwa
to Ibrahim a.s. ko b dawat di.Aap bimari ka
bahana bana kar pechay reh gaye. Aap un k
baray mandar mein gaye tamaam buton ko tor
kar kulhara baray but k kandhay per rakh diya.
Qom ko andaza ho gaya k ye kaam sirf Ibrahim
ka hi hay. jub sawal huwa to aap nay kaha" Ye
kaam uss baray but nay kia hay agar ye bol
sakay to pooch lo" (ambiya) Jub sharmsaar
huway to kehnay lagay "Tu khoob janta hay, ye
bolnay walay nae "Ibrahim a.s. nay kaha "Kia tum
ko aqal nae, k tum un ko poojtay ho jo tum ko na
faida detay hein na nuqsaan" (Ambiya)....
Namrood se mulaqaat
Us waqt Iraq k badshah ka laqab "Namrood" tha,
jo sirf badshah nae,apni riaaya ka malik aur
mabood hota tha, aur uski parastish buton say
barh kar hoti thi, q k ye in ki zindagi k b malik
thay....Namrood ko apni khudai ko khatra
mehsoos huwa to Ibrahim a.s. ko talab kiya,
Ibrahi a.s. nay apnay RUB k baray mein kaha
"mera RUB wo hay, jo zinda karta hay aur maarta
hai" Namrood nay aik begunah shakhs ko qatal
kar diya aur phansi k intizaar mein aik qaidi ko
reha kar diya kehnay laga dekh lo, ye kaam to
mein b kar sakta hoon. Ibrahim a.s.nay kaha
"mera Allah sooraj ko mashriq say nikaalta hai, tu
maghrib say nikaal kar dikha" (Baqarah)iss per
namrood lajawaab ho gaya.
Aatishe Namrood
Lajawaab namrood aur pagal qom nay faisla kia k
Iarahim a.s. ko aag mein daal diya jae...aik jaga
muntakhib kar k kai roz tak aag dehkai gai, phir
aik din Ibrahim a.s. ko uss mein phenk diya gaya.
Allah ka hukam huwa "Ay aag tu Ibrahim k liye
salamti aur thandak bun ja"(Ambia)
Hazrat Ibrahim a.s. per sirf un ki biwi(Hazrat
Hajra a.s.) aur Hazrat Loot a.s.(chacha k betey)
aur un ki biwi eemaan lae, jin k saath aap nay
apna watan chora aur Falasten mein ja aabaad
huway.
Riwayat hay k jub Usman r.a. nay apni biwi
Ruqayya r.a. k sath Habsha hijrat ki to Rasool
Allah saww nay farmaya "Beshak Loot k baad
Usman pehlay muhajir hein, jinhon nay apni biwi
samait hijrat ki"..
Falasteen mein ziada arsa qayam nae kiya aur
Misar ki taraf safar kiya.
Jub Misar paunchay,to apni biwi say farmaya
"yahan ka badshah zalim aur jabir hai. jab kisi
haseen aurat ko dekhta hay, to usko zabardasti
cheen leta hay,uska sathi mard agar shohar ho to
usay qatal kar deta hai, lekin agar koi aur rishta
ho to chor deta hay. Deeni tour per tum meri
behen ho,is liye usko b tum yahi batana"
Phir aisa hi huwa, raat ko badshah nay jub
budniyati say apna haath barhaya to wo shull ho
gaya aur wo Sarah a.s.ko hath nae laga saka, us
nay Sarah a.s. ko kaha "apney RUB say dua karo
k mera hath theek kar day, mein tujhay riha kar
doon ga"....dua k baad hath to theek ho gaya
magar badsha dobara budniyyat ho gaya phir
wohi huwa...jub teesri baar huwa to uss nay kaha
"Isko jaldi say lay jao shayad ye jin hay", us k
sath hi Hazrat Haajra ko b saath bhej diya..Sarah
a.s. apnau saath Haajra ko lay kar Ibrahim a.s. k
paas paunchin aur mubarak di Allah nay aik
faasiq say nijaat di aur aap k liye aik khadima
(Haajra a.s.)b bhej di hay.........
Ye waqiya ahadees mein Hazrat Abu Hurera say
riwayat hay, jinhon nay farmaya "Ay sharifun
nasab ehlay arab ! Ye hein Haajra a.s, jo tum sub
ki maan hein" Riwayaat say sabit hota hay k
Haajra a.s. Firaon e misr ki beti thein. ehlay
yahood ki mustanad riwayat hay k jub firaon nay
Sarah a.s. ki karamaat ko dekha to kaha "meri
beti ka iss k ghar londi bun k rehna, doosray ghar
mein malka bun kar rehnay say behtar hay"
Hazrat Ibrahim a.s. jab Misr say chalay to Sarah
a.s. ki umer 70 saal thi.
HAZRAT ISMAIL A.S. KI PEDAISH
Ibrahim a.s. nay Allah say aulaad ki dua mangi to
Hajra a.s. k batan say Ismail a.s.peda huway,
uss waqt Ibrahim a.s.ki umer 86 saal thi.
Doosri biwi ka aulaad peda karna, Sara a.s. k liye
bohat takleef deh tha,unhon nay Ibrahim a.s. ko
kaha k in donon ko kahin aur lay jao. Ibrahim a.s.
ko aitaraz huwa to Allah nay aisa hi karnay ka
mashwara diya.
Ibrahim a.s. nay biwi aur buchay ko Kabatullah k
paas aik mashkeeza pani aur aik thela khajoor k
saath chor diya, aur wapsi per Allah say dua ki
"Ay hamaray RUB mein apni aulaad ko aik banjar
wadi mein teray izzat walay ghar k paas chor kar
ja raha hoon ta k ye namaz qaim karein....tu
logon k dil in ki taraf maail kar day aur zameen
say in ko rizq day, ta k ye shukar guzaar
banein" (Ibrahim).........
Jab Kaba ki diwaar Ibrahim a.s. k qad say oonchi
ho gai, to Ismail a.s. nay patharon ka aik
chabootra bana diya, jis per kharay ho kar
Ibrahim a.s. nay mazeed tameer mukammal ki,
wohi jaga aaj kal "Maqame Ibrahim" kehlata hay.
Jibrail a.s. phir samnay walay pahaar say aik
pathar nikal kar laye, jisay jannat say yahan la
kar mehfooz kiya gaya tha.Yahi "Hajre Aswad"
hay.
Jab "Baitullah" tameer ho gaya to Allah nay us ka
jo maqaam tayyun kiya, us ka Quran mein tafseel
say zikar hay, farmaan hay:- "Beshak insanon k
liye (Allah ki ibadat k liye) jo pehla ghar banaya
gaya,wo Macca mein hay, barkat wala hay aur
tamaam insanon k liye hidayat hay, iss mein khuli
nishanian hein aur Maqam e Ibrahim b, aur jo iss
mein daakhil huwa usay amaan mil gaee. Allah ki
taraf say logon per ye baat farz ho gai hay k jo
hesiyat rakhta ho, wo iss ghar ka Hajj kare, aur jo
iss ka inkaar karay,to beshak Allah tamaam
dunya say bayniaz hay "(Aale Imran)
HAZRAT ISMAIL A.S.
Inn ka tazkirah apnay baap k saath hi aaya hay.
Hazrat Ismail a.s. k 12 betay thay aur inn ki
aulaad Hijaaz, Shaam, Iraq, falasteen aur Misr tak
pheil gaee, aap nay 136 saal ki umer paee.Jub
khana aur pani khatam ho gaya to Allah nay
payasay Ismail ki aerree k nechay say pani jari
kiya jisay payasi Hajra a.s. nay "zam zam" keh
kar roka.
Pani k oopar parinday dekh kar 'bani jarham'
nami aik qabeela Hajra a.s. ki ijazat say aa kar
aabad ho gaya, rafta rafta aik basti aur sheher
aabaad ho gaya.
Ibrahim a.s. apni biwi aur batay ko milnay aur
khabar geeri karnay aaya kartay thay.
KHATNA (circumcision)
Jub Ismail a.s. ki umrr 13 saal hooe aur Ibrahim
a.s. 99 saal k huway to Allah nay khatna karnay
ka hukam diya. Ibrahim a.s. nay apni phir Ismail
a.s.aur phir tamaam khana zadon aur ghulamon
ki khatna karwein. yehi rasm aaj b "sunnat e
Ibrahimi" kehi jati hay.
ZIBHE AZEEM
Namrood ki aag. Biwi aur buchay ko beyabaan
mein chornay k baad Allah nay Ibrahim a.s. say
3sri qurbani maangi.Khwab mein hukam diya k
apnay beta qurbaan karo, baap aur beta donon
tayar ho gaye. baap nay churi chalai aur Allah
nay 'meindha' bhej kar betay ko bacha liya aur
kaha "ay Ibrahim tu nay apna khwab sucha kar
diya aur ham nek logon ko aisa hi badla detay
hein" (safat)
KABA KI TAAMEER
Allah nay ab Ibrahim a.s. ko kaba ki tameer ka
hukam diya. Kabatullah ki pehli bunyaad hazrat
Adam a.s. nay rakhi thi, magar hazaron saal
guzarnay k baad uska nishaan mit gaya. Allah
nay wahi k zarye uski nishandahi ki aur baap
betey nay uski dobara tameer shuru ki.

No comments:

Post a Comment